Ilahi teri chokhat per…
From the Blog ashrafiya [image: makkah_madinah] Ilahi teri chokhat per bhikari ban ker aya hoon, Sarapa faqr hoon, ijz-o-nadamat saath laya hoon, Bhikari woh ke jis ke paas jholi hai na payala hai, Bhikari woh jisey hiras-o-hawas nay maar dala hai, Mata-e-deen-o-danish, nafs ke hathon se lutwa ker. Sakoon-e-qalb ki daulat hawas ki bhent charha ker, Lutta ker sari poonji ghaflat-o-issyan ki daldal mein, Sahara lene aya hoon tere kaabay ke aanchal mein, Gunahon ki lipatt sey, kaynat-e-qalb afsurda, Iraaday muzmehehal, himmat shikasta hoslay murda, Kahan say laoon takat dil ki sachi tarjumani ki, Ke kis jhanjhal mein guzri hein ghariyan zindagani ki. Khulasa yeh ke bus jull bhun ker apni roo-sayahi sey, Sarapa faqr ban ker apni haalat ki tabahi sey, Tere darbar mein laya hoon apni ab zaboon-haali, Teri chokhatpakistanblogs.blogspot.comRead Full PostComments