Khatam Shudd
From the Blog randomlyabstract Darwaza khula chora tha meny. Chahtay na chahtay nazar uth uth ke jati thi, wehem ne dil ko yun muthi me jakarr rakha tha ke sirf takleef milti thi aur us se bhagnay ka koi tareeqa samajh hi nahi ata tha. Tum se bhagnay ka koi tareeqa samajh nahi ata tha. Mujhay lagta tha tum aogay. Jantay ho, har ahat par chonk jati thi. Har shor pe tufaan uthta tha. Sab bikhar jata tha, mai samait'ti thi aur phir bikhar jata tha. Maine bohat koshish ki ke jo umeed phool nahi kaanta ho, usay zabardasti hi sahi kheench kar bahar nikal dun. Apnay aap ko bacha lun. Lekin mujhay darr lagta tha aisay zakham gehra hojayega. Aur ab nazar ata hai ke khula chornay se tou ye naasoor banjaega. pakistanblogs.blogspot.comRead Full Post
0 comments :
Post a Comment