Dua//Mangnay wala aur Denay wala
From the Blog randomlyabstract Dua ke maamlay me mai aam musalmanon ki tarah bohat ehmaq waqay hua hun. Na janay kyun dua maangtay waqt meray dil ki gehraiyun se ye khayal ubharta hai ke dua suntay waqt Allah taala sank baksh moulvi sahab ka roop dhaar letay hain, pehlay wo naak par romaal rakh letay hain phir hath me aik chimti pakar letay hain phir gandi, ghaleez, hawas-bhari aur na-jaaiz duaon ko is chimti se utha utha kar door phaink detay hain. Phir naak se romaal hataty hain. Chimti aik taraf rakh detay hain aur haath dho kar bachi kuchi saaf suthri duaon ka jaaiza letay hain. In me se bhi na-maaqool duain nikaal kar phaink detay hain aur phir baqya duaon ko aik taraf rakh detay hain ke fursat ke waqt in par ghor karain gay. La shaoor me rachay basay huay is aitebaar ki waja se mujh aisay aam gunahgaapakistanblogs.blogspot.comRead Full Post
0 comments :
Post a Comment