((Khamoshi))
From the Blog randomlyabstract Raasta sunsaan tha aur chaaron taraf khamoshi phaili hui thi. Khamoshi ki bhi aik apni aawaaz hoti hai. Aik apni kefiat hoti hai. Aik apna hi pattern hota hai. Mai ne aik zamanay me mukhtalif khamoshiyan record ki theen. Raat ke aik bajay maqbara e Noor Jehan ke bahar paanch minute ki khamoshi record ki thi. Phir adhi raat ko Samanabad ki Doonghi Ground ki khamoshi record ki thi. Phir Cholistan me adhi raat ka sannata record kia tha. Ye teenon recordain meray paas moujood hain aur mai ne inhain kai ougo ko sunwaya hai. Aik jaga ki khamoshi dusri jaga se mukhtalif hai. Jab aik nihayat hi khamosh jaga me aadmi teen ghantay tak musalsal betha rahay tou ibtida me is par barri khushgawar kefiat guzarti hain. Phir dil dharaknay ki sada anay lagti hai. Is ke sath nabz chalnpakistanblogs.blogspot.comRead Full Post
0 comments :
Post a Comment