Bandagi supardagi~
From the Blog randomlyabstract Insaan khuda banna chahta hae. Isay apnay wujood ki takmeel samajhta hae yani ke wo khudai hasil karay. Us ki paristish ki jaye din raat. Jism mandir, rooh zindagi! Subah kay sitaray ke chamaknay se raat ka chaand madham honay tak, shor se sannatay aur sannatay se shor tak, takleef me aur rahat me, har qadam sirf “ehsaas”. Aik aiteraaf. Aik naam. Koi kahay, aap aali maqaam! Inayat ho! Kuch loug beharhaal ibadat nahi kar patay. Bandagi pe poora nahi utartay aur phir zamana unhain thokron pe chor deta hay. Aam mazahib ki tarah yahan bhi itaab nazil hota hay, aur sach maanye tou khudai ka dawa karnay walay inn lakhon khudaon me rehmaniat ki phir aik ramaq bhi baqi nahi rehti! Filed under: 2015, Urdu musings pakistanblogs.blogspot.comRead Full Post
0 comments :
Post a Comment