Inqalaab!
From the Blog kulsoom Aik nazam, Inqalaab ki nazar. Gustakhi maaf! Takhta ulat gaya hai Sab kuch palat gaya hai. Masmaar horahe hain Galiyon ke saare kooche Talwar barh rahi hai Nezay pe khoon ayan hai Faslen ujaar Dena Naslen ujaar dena Khaane ke sab zakheere Yaklakht ukhaar Dena Ghunche Gaye hain murjha Jangal bhi jal gae hain Insaan aur hewaan Sab hee to marr rahe hain Hathyar har taraf hain Yalghaar har jaga hai Asbab mukhtalif hain Ambaar har jaga hai Qissa tamam karke Baaghi banuga main bhi Sazish koi na karle Is ko sanwaarne ki Yeh raaz khul na paaye Ke main to hukmuran hu Takhta ulatne pe Thora sa dar gaya hu. pakistanblogs.blogspot.comRead Full Post
0 comments :
Post a Comment