Kahani
From the Blog diaryofshirin Saans khushk khushk hai Ankhon mein rang nahin rahay Boht se log ab sang nahin rahay Har gunah ki ibteda ham se hi howi Zuban pur taseer hi na thi shayad Baat kabhi suni hi nahin gayi Khayal, khushi aur khawab Mukhtalif rang he tu hain azaab k Apni khushbu bhi bhaag gayi ik din Dar gayi hogi apne saaye se Dil o jaan bhi tu hain tabhi ghabraye se Hamari kashti k doobnay ka manzar Bht bhaaya camera walon ko Sada khush raho logo! Kahani mukammal honay waali hai Ab koyi na aaye idhar Maut aanay hee waali hai.... pakistanblogs.blogspot.comRead Full Post
0 comments :
Post a Comment